[Am]Tu Hindu banega na, [G]Musalman banega
[C]Insaan ki aulaad hai, [G]Insaan banega

[Am]Achha hai abhi tak tera kuch [G]naam nahin hai
Tujhko kisi mazhab se koi [C]kaam nahin hai

[F]Jis ilm ne insaanon ko [G]taqseem kiya hai
[C]Uss ilm ka tujh par koi [Am]ilzaam nahin hai
[Am]Tu badle hue waqt ki [G]pehchaan banega
[C]Insaan ki aulaad hai, [G]Insaan banega
[Am]Tu Hindu banega na, [G]Musalman banega
[C]Insaan ki aulaad hai, [G]Insaan banega
[Am]Malik ne har insaan ko [G]insaan banaya
Humne use Hindu ya [C]Musalman banaya

[F]Kudrat ne to bakshi thi humein [G]ek hi dharti
Humne kahin Bharat, kahin [C]Iran banaya
[Am]Jo tod de har bandh wo [G]toofan banega
[C]Insaan ki aulaad hai, [G]Insaan banega
[Am]Tu Hindu banega na, [G]Musalman banega
[C]Insaan ki aulaad hai, [G]Insaan banega
[Am]Nafrat jo sikhaye wo [G]dharam tera nahin hai
Insan ko jo ronde wo [C]qadam tera nahin hai

[F]Quran na ho jisme woh [G]mandir nahin tera
Geeta na ho jisme woh [C]haram nahin hai
[Am]Tu aman ka aur sulah ka [G]armam banega
[C]Insaan ki aulaad hai, [G]Insaan banega
[Am]Tu Hindu banega na, [G]Musalman banega
[C]Insaan ki aulaad hai, [G]Insaan banega
[Am]Ye deen ke tajar, ye [G]watan bechne wale
Vatan bechne wale

[F]Insano ki laashon ke [G]kafan bechne wale
Kafan bechne wale
[C]Insano ki laashon ke [Am]kafan bechne wale
[Am]Ye mehlon mein baithe hue [G]qateel ye lutere
Kaanton ke ewaz rooh-e-chaman [C]bechne wale
[Am]Tu inke liye maut ka [G]aelan banega