[Intro]: |(Dm) | (X4) , ||(Dm) |(Gm) |
(Dm) (F) (Am) (Gm) (Dm) (F) (Am) (Gm)
Khamoshiyan aawaaz hain , Tum sun'ne to aao kabhi , Chhukar tumhe khill jaayengi , Ghar inko bulaao kabhi
(Bb) (C) (A7)
Beqarar hain baat karne ko , Kehne do inko zaraa..
(BbM7) (C) (F) (BbM7) (C) (F) (Am7)
Khamoshiyan teri meri khamoshiyan , Khamoshiyan lipti hui khamoshiyaaan
[Instrumental]: ||(Dm) |(Dm) |(F) |||(Dm) ||(Am) |(Gm) |
(Dm) (BbM7) (Gm) (C) (F) (Am)
Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua , Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
(Dm) (BbM7) (Gm) (C) (F) (Am)
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua , Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua
Hmm...Khamoshiyan ek saaz hai , Tum dhun koi laao zaraa , Khamoshiyan alfaaz hain , Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko , Kehne do inko zaraa...
Khamoshiyan teri meri khamoshiyan , Khamoshiyan lipti hui khamoshiyaaan
[Instrumental]: |(Dm) | (X5) , |(C) |(F) |(C) |(Dm) |(Gm) |
Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan , Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan , Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan
Khamoshiyan aakaash hai , Tum udne toh aao zara , Khamoshiyan ehsaas hai , Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko , Kehne do inko zaraa..
Khamoshiyan teri meri khamoshiyan , Khamoshiyan lipti hui khamoshiyaaan (X2)